
Agar aap online kamai karna chahte hain toh online earning scam se bachna sab se zaroori kaam hai. Aaj kal bohot se log ghar baithe paisa kamane ke chakkar mein apna asli paisa gawa dete hain. Is article mein aap janean ge ke fraud apps aur nakli websites ko kaise pehchana jaye.
Online earning scam se kaise bachen aur asli kaam kaise dhundein?
Sab se pehle yeh baat samajh lein ke koi bhi asli compani aap se kaam dene ke liye paise nahi mangti. Agar koi app ya banda aap se joining fee, registration fee ya security deposit mange toh wahan se turant hat jayein. Asli online kaam mein aap ko mehnat ke paise milte hain, aap ko apni jeb se paise nahi dene padte.
Scammers aksar logon ko Telegram ya WhatsApp par msg bhejte hain. Wo aap ko YouTube video like karne ya Google review dene ke badle daily 5,000 rupaye dene ka lalach dete hain. Shuru mein wo aap ko 200 ya 500 rupaye bhejte hain taakay aap ka bharosa jeet sakein. Is ke baad wo aap se ziada kamai ke liye deposit mangte hain aur paise milte hi block kar dete hain.
Job dene ke naam par paise mangne wale fraud ko pehchanean
Aj kal data entry aur typing job ke naam par bohot bada fraud chal raha hai. Aap ko aik nakli agreement bheja jata hai aur kaha jata hai ke 3 din mein kaam pura karein. Kaam jama karne ke baad wo aap ke kaam mein galti nikalte hain aur legal action ki dhamki de kar paise mangte hain. Is tarah ke kisi dhamki se mat darain kyun ke yeh sab nakli hota hai.
Ek asli Freelancer hamesha mehfooz platform par kaam karta hai jahan payment ki guarantee hoti hai. Kisi bhi anjaan banda ke bank account mein direct paise transfer mat karein. Agar koi aap ko WhatsApp par hire kar raha hai bina kisi interview ya profile ke, toh wo 100 percent scam hai.
Nakli earning app aur website pehchanne ki nishaniyan
Nakli platforms ki pehchan karna bohot aasan hai agar aap thodi hoshiyari dikhayein. Is tarah ke platforms par kuch khaas batein aam hoti hain jin se aap unhe pakad sakte hain.
- Registration Fee: Kaam shuru karne se pehle paise mangna.
- Guaranteed Return: Bina kisi mehnat ke daily fix income ka daawa karna.
- Referral Scheme: Naye logon ko jodne par ziada commission ka lalach dena.
- No Contact Info: Website par compani ka koi asli pata ya owner ki jankari na hona.
- Task Scam: Crypto ya order grab karne ke naam par paise deposit karwana.
Yeh sab tareeqay aap ka paisa lootne ke liye banaye gaye hain. Kisi bhi nayi website par apna account banane se pehle Google par us ka naam likh kar review zaroor check karein. Agar log us ke baare mein negative baatein kar rahe hain toh wahan kabhi apna time aur paisa zaya mat karein.
Paisa doob jaye toh turant kya tarika apnayein?
Agar aap kisi scam ka shikar ho chuke hain toh sab se pehle apne bank ko call karein. Unhe batayein ke aap ke saath fraud hua hai taakay wo aap ka account ya card block kar sakein. Agar aap ne credit card se payment ki hai toh chargeback ki request daalein.
Is ke alawa apne ilaqay ki cyber crime police ko complaint darj karwayein. Apne paas tamam chat screenshot, transaction ID aur bank details ki copy mehfooz rakhein. Yeh sab proofs police ke bohot kaam aate hain. Aise har ek Gig worker ko cyber safety ke rules ka pata hona chahiye.
Mehfooz online kamai ke asli zariye kon se hain?
Sachi online earning mein waqt aur mehnat lagti hai. Koi bhi raato raat ameer banane wala short cut asli nahi hota. Agar aap sach mein online kamana chahte hain toh Upwork, Fiverr, aur PeoplePerHour jaise mashhoor platforms par apni profile banayein. Yahan aap ko apni skills ke mutabiq kaam milta hai.
Hamesha yaad rakhein ke asli compani aap ko aap ke hunar ke paise deti hai. Kisi bhi aise lalach mein na aayein jahan bina kaam kiye paise milne ka daawa kiya ja raha ho. Aaj hi tamam anjaan WhatsApp groups ko leave karein aur sirf authenticated tareeqon par dhyan dein.

0 Comments